dailyO
Voices

Aaj ka muslaman hypocrisy ki ek aala misaal hai: Muslims must stop being hypocrites

Advertisement
Gustakh Manto
Gustakh MantoMar 26, 2018 | 14:27

Aaj ka muslaman hypocrisy ki ek aala misaal hai: Muslims must stop being hypocrites

Islam Ke Taskar Aur Aaj Ka Musalman

Is duniya me jitni bhi laanaten hain, hypocrisy un sab ki amma hai aur aaj ka musalman apne aap me hypocrisy ki ek aala misaal hai. Iski peshani par jo sajdon ke nishaan hain wo iski aqeedat ki tarah banawti hain. Ye haraam ki kamaayi daulat jayb me bhare halaal gosht ki duhaayi diya karta hai.

Advertisement

Iski hypocrisy ke chalte, kayi baras pehle in mazhab ke munhafizon ne Islam ko ek haseen mehbooba bana diya tha, aik aisi mehbooba jiski pakeezgi ki duhayiyan de kar, ye kaghaz ke mazhab parast apni napakiyon ko anjaam diya karte hain. Khulasa meri fiqr ka ye hai ke khuda ke bande ab khudawand ho gaye hain aur rahi baat khuda ki, jo baqaul Quran-e-pak, ahad-o-samad hai, rahman-o-raheem hai, usko bhi is jahil qaum ne sekdon naam de diye hain, samajh nahi aata ke khuda shia hai ke sunni, kahin wo deobandi to nahin? Ya phir koi barelvi hai? Bhai, ahl-e-hadis hua to badi mushkil ho jayegi, is mazmoon ko wo kafir ka kalaam na qaraar de kahin.

Al-Ma’mun ka khwaab

Islam ki tareekh par aap agar nazar dalen to guzishta zamanon me musalman ka haal humesha se aisa na tha. Islam ki taskari aur mullah-maulviyon ka azaab ziyadatan gayi do sadiyon me hi naazil hua hai. Us waqt ka musalmaan zehni salahiyat ke sath sath deen par qayam rehna wala musalman tha. Magar jab se is kambakht ne reason aur quwwat-e-aql-o-faisle ka sath chhoda hai, ijtihaad ki jagah jihaad ne le li hai. Islam ke sunhare wakhfe me ke jab Islami hukumat ek tihaayi duniya par thi, usi dauran Baghdad ke khalif Al-Ma’mun ne ek khwab dekha. Al-Ma’mun ko us khwaab me greek falsafe ke aalim-o-kaamil Aristotle nazar aaye.

Advertisement

Al-Ma’mun ki mushkil ye thi ke wo maulviyon ka kahaa maane ya phir un adeeb hazraat ka jo reason aur ijtihaad ki pairwi karte hain. Aristotle ne jwaab me kaha ke Khuda tak pohonchne ka sahi rasta ilm-o-ijtihaad aur reason se hi ho kar guzarta hai. Isi nasihat ke madd-e-nazar, Al-Ma’mun ne yahi rasta ikhtiyaar kar, Islam ka parcham sare aalam me lehraaya aur Baghdaad ko ilm aur science-dano ka markaz banaya. Ye Al-Ma’mun ka khwaab hi tha jiso maghribi renaissance ki buniyaad bana.

manto-690_021618041108.jpg
The relationship religious preachers share with the faith is akin to the relationship the illegal liquor mafia shares with spurious desi liquor.

Aaj ke musalman ke khwaab me ya to Babri ki deewaron par hathauda chalate bhagwa dehshatgard hote hain ya phir teen talaaq, hijaab aur takhno se upar payinche. Ye apni bezaari aur badhaali me khush hai, ye ghair tarraqi yafta awaam zamane ke sath nahin, zamaane ke piche chalna pasand karti hai. Ye apni muflisi aur mushkil haalat ko behtar karne ke bajaaye is gham me mubtala hai ke kisi Salman Rushdie ne koi kitaab likhi hai jisse Islam khatre me aa gaya hai.

Is qaum ko apne zaati masaayil hal karne me koi dilchaspi nahin, ye mazhab ki giraft me jadki hui sharia ke taaron se bandhi hui hai, ise apni aane wali naslon ki tarraqqi, unke ilm-o-rozgar ki fikr zarre barabar nahin hain.

Advertisement

Islam ke taskar

Chunache, mazhab aur deen se Mullah-Maulviyon ka rishta wahi hi hai jo kachchi sharaab ka taskaron se hota hai. Inki aqeedat milawati hoti hai aur ye nashe ke naam par zehar bechte hain magar badnaam sharaab hoti hai. Agar hum maulanaon aur qadriyon ki shaan me qaside padh sakte hain, unki khuda-parasti ki misaalen de sakte hain to phir inhi aalim-o-kamil hazraat ki darindgi par koi baat kyun na kare, kyun koi na likhe? Kyun main us maulana ki baat na kahun jiske deen aur daadhi me aisi kitni kahaniyan dafn hain jahan madarson aur idaaron me aane wale masoom bachhe inki jinsi ziyadti ka shikaar hue hain?

Kyun is muashre me maulanaon aur hafizon ke ghalazat bhare khichad se sane us daaman ko Quran ki aayaton se chupaya jataa raha hai? Kya wajah hai ki al-kaʿbah al-musharrafah aur Masjid-al Haram jaisi jagahon par bhi khwaateen ke sath jinsi zabardastiyon ke waqyaat aam hain? Shayad yahi wajah hai ke aaj ke daur me Hajj aqeedad ka nahin, privilege aur istehkak ka sabab ban gayi hai, isliyen “falan sahab panchvi baar Hajj karne ja rahe hain...” jaise jumle aaj bohot aam hain, mano Hajj na hui picnic ho gayi. Ya phir shayad ye unki zarorat hai, isliyen ke unke gunaahon ki fehrist itni lambi hai ke ek Hajj se kaam nahin banta.

Kul jamaa baat ye hai ke jabse imaan walon ne imaan chhoda hai, yaqeen maniyega mujh jaise iblees-numa aadam-zaaton ki nikal padi hai. Suniye sahab, avval to meri mazhabi nuktacheeni ki aadat nahin aur naa hi mujhme itni zehani salaahiyat, magar itna zaroor kehna chahunga ke muslmaan ko chahiye ke wo apni hypocrisy ko darkinaar karke aamalo'n se bhi bane ummat-e-rasool, kehte hain, padta tha namaz iblees bhi.

Agar is gustakh iblees ki na sahi, Allama ki to suno, jo keh gaye the “ki tere aamaal se hai tera pareshan hona, warna mushkil nahi mushkil aasaan hona..”

(English translation)

Hypocrisy is the biggest of all shames in this world and today’s Muslims are a textbook example of this trait. The prayer bumps on their foreheads are as shallow and artificial as their faith. They swear by Halal meat while their pockets are overflowing with the money earned from sources which are proscribed by Islamic laws.

Owing to the same hypocrisy, long ago, these custodians of Islam turned the faith into a beautiful beloved. A beloved, under the garb of whose piousness, religious paper tigers can camouflage their vile and ugly disgust. The crux of the matter is that the so-called followers of the right path are now self-proclaimed Gods in their own light. And as far as the real God is concerned, who in the words of the Holy Quran, is impenetrable, self-sufficient, merciful and all gracious, lost somewhere in the thousand names that have been given to him. 

It’s not clear if the God is Shia or Sunni, what if he’s a Deobandi? Maybe he’s Barelvi; if he turns out to be Ahl-e-Hadis, I am afraid, this article would end up being the work of an infidel.

Al-Ma’mun’s dream

If we look at the history of Islam, in the early years of the faith things were not as bad as they are now. The smuggling and hijacking of the faith by mullahs and maulvis is a recent phenomenon and it started only in the last few centuries. Prior to this, Muslims practised and preached logic with a firm grip on their faith. However, ever since they deviated from the path of pure intellect and reasoning, jihad has replaced the art of critical thinking and ijtihaad.

In the Golden Age of Islam, when one third of the world population was under Islamic empire, Al-Ma’mun, the then Caliph of Baghdad, had a dream. The dream of Aristotle, the pioneer of Greek philosophy. Caught between the ideas of rationalists and those of religious thinkers, Al-Ma’mun was struggling which way to choose. “You must first choose reason, because reason is the doorway to revelation,” Aristotle told him.

Owing to the same advice, Al-Ma’mun went on to expand the reach of the Islamic Empire and Baghdad became the centre of knowledge and science. It was Al-Ma’mun’s dream that became the foundation of western renaissance.

Sadly, the dreams of Aristotle have been replaced by the nightmares of bhagva-clad terrorists hammering down the walls of Babri Masjid, protesting triple talaq, pants folded over their ankles. He’s happy and contained in his vexed and poverty-ridden state.

With this non-progressive and laidback attitude, he likes to live in the past rather than keeping abreast with the progressive world he’s a part of.

Instead of improving his own condition, which is plagued by poverty and helplessness, the average Muslim is rather dismayed by a book written by certain Salman Rushdie, because of which he thinks Islam is suddenly in danger. The Muslim community seems oblivious to more pressing issues concerning its well-being, for it is habitually fettered in the shackles of a literalist version of Islam and the barbed wires of Sharia (Islamic law).

The progress and matters concerning the education and employment of its next generation find no place in the community’s scheme of things.

The smugglers of Islam

The relationship religious preachers share with the faith is akin to the relationship the illegal liquor mafia shares with spurious desi liquor: both sell poison in the name of intoxicants and – in the end – it is alcohol that gets a bad name.

If we can write praises in the honour of maulanas, if we can laud their unshakable faith, why shouldn’t we question the covert barbarism of these learned and distinguished preachers? Why shouldn’t I write about the maulana, under the veil of whose piousness, so many stories of innocent kids being sexualy exploited are burried? Why it’s the case that when confronted with the ugly truths, these maulanas take refuge in the verses of Quran?

What explains that incidents of sexual harassment of women, even at the most sacred places like Masjid al-haram and Al-kaʿbah al-musharrafah while performing hajj, are very common? This is the reason Hajj has been reduced to a privilege for a select few and lost its original purpose, the faith.

Perhaps, that’s why you see people boasting about the number of times they have performed the Hajj, as if it’s not a religious pilgrimage but a picnic. Or maybe, it’s a necessity for their list of sins is vast and requires multiple pilgrimages.

To cut the long story short, ever since faithfuls deserted the faith, believe me, satanic humans like myself are rejoicing like never before. Listen to me, I am neither a religious critic nor do I have any intellectual understanding of the religion; however, I’d like to say that it’s high time Muslims get rid of their hypocrisy and try becoming the followers of the beloved Prophet in their actions and deeds because as they say, even Iblees used to offer Namaz.

If not Gustakh Iblees, at least listen to what Allama once said: “Your need to worry is inherent in your deeds, else, it’s not difficult to solve the difficulties.”

Last updated: May 04, 2018 | 15:26
IN THIS STORY
Please log in
I agree with DailyO's privacy policy